lahu mein phul khilane kahan se aate hain nae khayal na jaane kahan se aate hain ye kaun log hain har sham taq-e-mizhgan par charagh-e-yaad jalane kahan se aate hain khizan ki shakh mein hairan hai aankh ki konpal palat ke ahd purane kahan se aate hain samundaron ko sikhata hai kaun tarz-e-khiram zamin ki tah mein khazane kahan se aate hain zamam-e-abr gurezan hai kis ke hathon mein muhit-e-khosha mein dane kahan se aate hain safar-e-nasib parindo! tumhaare honton par ye khush-gawar tarane kahan se aate hain khushi ke ahd chale jate hain kahan 'sayyad' udasiyon ke zamane kahan se aate hain