lahu ne kya tere khanjar ko dilkashi di hai ki hum ne zakhm bhi khae hain dad bhi di hai libas chhin liya hai barahnagi di hai magar mazaq to dekho ki aankh bhi di hai hamari baat pe kis ko yaqin aaega khizan mein hum ne bashaarat bahaar ki di hai dhara hi kya tha tere shahr-e-be-zamir ke pas mere shuur ne khairaat-e-agahi di hai hayat tujh ko khuda aur sar-buland kare teri baqa ke liye hum ne zindagi di hai kahan thi pahle ye bazar-e-sang ki raunaq sar-e-shikasta ne kaisi hamahami di hai charagh hun meri kirnon ka qarz hai sab par ba-qadr-e-zarf nazar sab ko raushni di hai chali na phir kisi mazlum ke gale pe chhuri hamari maut ne kitnon ko zindagi di hai tere nisab mein dakhil thi aastan-bosi mere zamir ne talim-e-sarkashi di hai kategi umr safar jada-e-afrini mein teri talash ne taufiq-e-gumrahi di hai hazar dida-tasawwur hazar rang-e-nazar hawas ne husn ko bisyar chehragi di hai