lahu se tar jo KHanjar hain ye nafrat ki tamazat hai

lahu se tar jo khanjar hain ye nafrat ki tamazat hai
ki ab jangal se bhi bad-tar mere shahron ki haalat hai

kisi din todne walon ko ye ehsas ho ai kash
mahakta phul tahni par mohabbat ki alamat hai

badai hai miyan sari ki sari aql-o-danish se
wagarna aadmi mein kab pahadon jaisi taqat hai

sakhi kuchh to ata ho jae ab tere khazane se
mere dast-e-dua mein dekh mere dil ki hajat hai

jo apni zat mein gum hain bhala un ko khabar kya ho
bichhad kar khud se jine mein aziyyat hi aziyyat hai

nikal kar bagh-e-jannat se ye kis duniya mein aaya hun
jahan jina aziyyat hai jahan marna musibat hai

bas ek tuta hua dil hai wajud-e-khak mein 'nasir'
bata is aaine ki ab koi judne ki surat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close