lai mohabbat ki hai aahang sukhan-saz ka hai har nai nasl se rishta meri aawaz ka hai aasman apni haden khol raha hai mujh par tu kabhi dekh jo aalam meri parwaz ka hai ye jo ab ja ke khalish hone lagi hai dil mein aisa lagta hai koi zakhm ye aaghaz ka hai