laila sar-ba-gareban hai majnun sa aashiq-e-zar kahan hir duhai deti hai ranjhe sa yar-e-ghaar kahan apna khun-e-jigar pite hain tujh ko duaen dete hain tere maikhane mein saqi hum sa baada-khwar kahan hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal zakhm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan hijr ka zulm hamari qismat wasl ki daulat ghair ka mal zakhm kise aur marham kis ko dard kahan hai qarar kahan pir-e-mughan kya kam tha mohtasibon ka bhi ab dakhl hua mina par kya guzregi sar phodenge mai-khwar kahan sunte hain ki chaman mahke bulbul chahke ban lahke hain apne nasheman tak jo na pahunchi aisi bahaar bahaar kahan kunj-e-mehan hai dar-o-rasan hai zulmat hai tanhai hai kaun si ja hai ham-safaro le aai talash-e-yar kahan gul-chinon ko aaj chaman-bandi ka dawa hai 'parwez' ab dekhen lut kar bikta hai kali kali ka singhaar kahan