lakh lakh ehsan jis ne dard paida kar diya jis ne is dil ko hatheli ka phaphula kar diya dekhna maghrib ki jaanib ye shafaq ka phulna dubte suraj ne sone mein suhaga kar diya zindagi aur maut mein ek umr se thi kashmakash waqt par do hichkiyon ne pak jhagda kar diya ek sharara sa qarib-e-shama ja kar mil gaya aatish-e-parwana ne shole ko duna kar diya bulbul-e-taswir hun ab bolna hai nagawar teri is hangama aarai ne chupka kar diya is ko kahte hain lagi parwane jal bujh dub mar rote rote shama ne aakhir sawera kar diya de diya aankhen lada kar is pari-paikar ne jam main nashe mein chur tha hi aur andha kar diya kya girami hastiyan hain hazrat-e-'usman'-o-'shad' 'shair' in donon ne duniya mein ujala kar diya