lala-zaron mein zard phul hun main fasl-e-gul hai magar malul hun main chand-taron ko rashk hai mujh par tere qadmon ki sirf dhul hun main kyun mujhe sangsar karte ho kab ye main ne kaha rasul hun main nur-e-sar-masti-e-abad hun magar mai-e-shaffaf mein hulul hun main ranj-o-gham kyun na meri qadr karen be-gharaz aur ba-usul hun main chandni kya payam lai hai aaj kuchh aur bhi malul hun main sab ke haq mein hun shakh-e-gul lekin sirf apne liye babul hun main mujh pe hi yurish-e-alam kyun hai jab haqiqat mein teri bhul hun main gham-e-hijran hi wo sahi 'abid' koi to hai jise qubul hun main