lamha-e-rafta ka dil mein zakhm sa ban jaega jo na pur hoga kabhi aisa khala ban jaega ye nae naqsh-e-qadam mere bhatakne se bane log jab in par chalenge rasta ban jaega gunj sunni ho to tanha wadiyon mein chikhiye ek hi aawaz se ek silsila ban jaega jazb kar de meri mitti mein latafat ka mizaj phir wo tere shahr ki aab-o-hawa ban jaega khinch laegi bagulon ko ye virani meri meri tanhai se mera qafila ban jaega us mein lau rakh dunga main jalte hue ehsas ki lafz jo honton se niklega diya ban jaega jugnuon ki mashalon se sehn ki diwar par raqs karti raushni ka daera ban jaega talkhiyan ehsas ki jab khun mein ghul jaengi mera chehra mere gham ka aaina ban jaega ek barhaman ne ye aa ke sehan-e-masjid mein kaha ishq jis patthar ko chhu le wo khuda ban jaega ek sidhi baat hai milna na milna ishq mein is pe sochoge to ye bhi masala ban jaega mere sine mein abhi ek jazba-e-benam hai zabt karte karte harf-e-muddaa ban jaega dil mein jo kuchh hai wo kah do dost se warna 'salim' harf-e-na-gufta dilon ka fasla ban jaega