lamha guzar gaya hai ki arsa guzar gaya hai kaun wo jo waqt ki sazish ye kar gaya ab umr to ye bit chali sochte tumhein itna hua hai han ki zara main sanwar gaya simta tha jab talak wo hatheli mein thik tha pahuncha labon pe lams to nas-nas bikhar gaya yun to dahak raha tha wo suraj sa dur se jo pas ja ke chhu liya kaisa sihar gaya dekhun tujhe qarib se fursat se chain se mera ye khwab mujh ko liye dar-ba-dar gaya ek roz tera nam sar-e-rah le liya chalta hua ye shaghl achanak thahar gaya misra sisak raha tha akela jo der se yaad us ki aa gai to ghazal mein utar gaya