lamha lamha dard Tapakta rahta hai

lamha lamha dard tapakta rahta hai
jaane andar kaun sisakta rahta hai

ek aahat si hoti rahti hai dil mein
is sahra mein kaun bhatakta rahta hai

hijr-zada ek aashiq mahw-e-gham akasr
mazi ke auraq palatta rahta hai

phul si koi yaad hai us se wabasta
mere dil ka zakhm mahakta rahta hai

dil jaise mele mein khoya ek bachcha
har aahat ki or lapakta rahta hai

sar par itni dhup safar hai sahra mein
mera sara jism jhulasta rahta hai

dil mein itni aag nahin jo jal utthe
bas yunhi chup-chap sulagta rahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close