lamha lamha mera har ek se siwa jagta hai main alag jagta hun dard juda jagta hai bakht bhi sote hain aur ghar ke makin bhi lekin sarhad-e-shab pe kahin ek diya jagta hai khwab ho jaane se pahle koi harf-e-khush-kaam isi ummid pe ye zehn-e-rasa jagta hai hum pe hi khas hain kuchh us ki inayat so ab fitna is shahr mein har roz naya jagta hai ai mere dard bata had se guzarna kab hai tu jo yun jagta rahta hai to kya jagta hai