lamha lamha tajraba hone laga main bhi andar se naya hone laga shiddat-e-gham ne haden sab tod din zabt ka manzar hawa hone laga phir nae arman shakhon ko mile patta patta phir hara hone laga ghaur se tuk aankh ne dekha hi tha mujh se har manzar khafa hone laga raat ki sarhad yaqinan aa gai jism se saya juda hone laga main abhi to aaine se dur hun mera baatin kyun khafa hone laga 'danish' ab tiron ki zad mein aa gaya zindagi se samna hone laga