lamhe shab-e-visal ke sarf-e-visal ho gae

lamhe shab-e-visal ke sarf-e-visal ho gae
us ko bhi nind aa gai hum bhi nidhaal ho gae

kaise hasin log the kaisi hasin mahfilen
wo jo khayal-o-khwab the khwab-o-khayal ho gae

main bhi tha rashk-e-aina tum bhi the rashk-e-aina
main bhi sifal ho gaya tum bhi sifal ho gae

mujh ko thi un ki zat se aisi musabqat ki bas
jab main bana misal to wo be-misal ho gae

chashm wo naz-afrin khul ke baras paden kahin
hum se kai nihaal-e-gham phir se nihaal ho gae

baalon mein barf thi yahan khwahish bhi sard thi yahan
us ne jo aanch di to hum shoala-khisal ho gae

gutthi hai utni gunjlak asrar-e-kaenat ki
jitne mere jawab the sare sawal ho gae

kaya-kalap hui hai yun gurgan-e-dasht-e-sus ki
girya-kunan jamal-ju zohra-jamal ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close