lash ki tarah ho chuka hun main

lash ki tarah ho chuka hun main
jaane kis tarah ji raha hun main

khud ke andar hi qaid ho baitha
apne pinjre mein hi pada hun main

sirf yaaden milengi kamre mein
ab yahan se chala gaya hun main

kaun mujh ko ghumata rahta hai
kis ki ungli pe nachta hun main

main jo manzil pe khud nahin pahuncha
usi manzil ka rasta hun main

aansu meri hansi udate hai
muskurahat pe ro liya hun main

zahr yun hi piyega ab mujh ko
hua yun zahr pi chuka hun main

ruh se kuchh kharidna hai mujhe
jism ko sansen bechta hun main

kho diya raushni mein apna wajud
ab andheron mein dhundhta hun main

mere pichhe koi na roega
maut ke sath ja raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close