lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin

lau mere dil ne zara us se lagai hi nahin
main ne chahat ki kabhi jot jagai hi nahin

raushni ruh tak aai hai to aai kaise
jab ki us tak to meri koi rasai hi nahin

apni rau mein hun bahe jati hun naddi ki tarah
pattharon ko main kabhi dhyan mein lai hi nahin

kaise ban jate hain sab kaam ye bigde mere
ek neki to abhi main ne kamai hi nahin

khud-ba-khud jhuk gain dar par tere nazren meri
ye nigah main ne kahin aur jhukai hi nahin

kaise chup-chap chale aate hain nindon mein meri
main ne khwabon ko to aawaz lagai hi nahin

us ki ummid abhi se main laga lun kaise
apni hasti to abhi main ne mitai hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close