laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur

laun main kahan se bhala andaz-e-bayan aur
munsif ki zaban aur hai aur meri zaban aur

ye dard samajhta nahin aadab-e-zamana
koshish ho chhupane ki to hota hai ayan aur

qismat ka likha man le thode se ziyan ko
jaega adalat mein to paega ziyan aur

tafsil bayan karta hai kyon apne amal ki
is tarah to har shakhs pe guzrega guman aur

manzil pe pahunch kar na hua dil jo mera khush
puchhi jo wajh us ne kaha aur aman aur

tum se bhi kahan mujh ko samaat ki tawaqqo
mujh mein bhi kahan baqi hai ab tab-e-fughan aur

ye zulm ke shoale hain faqat khun se bujhenge
ashkon se bujhaoge to utthega dhuan aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close