laut kar jaise daur-e-shabab aa gaya aap kya aa gae inqalab aa gaya is tarah dil ke arman pure hue nama-bar le ke khat ka jawab aa gaya dekhne ko tarasti thin aankhen jise samne wo mere be-hijab aa gaya gulshan-e-dil pe ek tazgi chha gai ban ke wo ek mujassam gulab aa gaya aalam-e-khwab mein jis ko padhta tha main ru-e-zeba ki le kar kitab aa gaya jis ke jaane se tarik thi zindagi khana-e-dil mein ba-ab-o-tab aa gaya zehn mauf tha ginte ginte jise aaj 'barqi' wo roz-e-hisab aa gaya