lawen charagh-e-wafa ki badha ke dekhte hain hum apna zarf-e-nazar aazma ke dekhte hain phir apne dil ko kisi gham mein mubtala jaano wo bar bar idhar muskura ke dekhte hain wo log jin ko shuur-e-nigah hasil hai wo apne aap mein jalwe khuda ke dekhte hain zarur us ke dariche se ho ke aai hai jo badle badle se tewar saba ke dekhte hain suna hai us ki hansi mein hai zindagi 'mohsin' to aao us ko zara sa hansa ke dekhte hain