lazzat-e-sang na puchho logo umr agar hath aae phir majnun ban kar sahra sahra koi use ganwae phir hum ne to is ek aas par sare dip jalae phir raat kabhi sath aae kisi ke shayad aur na jae phir yun bhi apna ahd-e-jawani khwab tha dilkash chehron ka aur ghubar-e-waqt ne to wo chehre bhi dhundlae phir sab ke apne apne dukh hain sunne wala koi nahin sunne wala koi na ho to kis ko koi sunae phir 'ishqi' tum ne umr guzari hai ummid-e-bahaaran mein aur ayyam-e-bahaaran bhi gar tum ko ras na aae phir