le gaya ghar se unhen ghair ke ghar ka tawiz hum ne dekha na suna aise asar ka tawiz de ke bu zulf ki rakh lo tah-mahram dil ko khwab mein phir na daroge ye hai dar ka tawiz sadqe tere mujhe taskin se taskin hui khat tera tha ki mere dard-e-jigar ka tawiz ho mubarak tujhe aankhon mein samana din-raat zeb-e-bazu rahe har-waqt nazar ka tawiz rah gaya ghair ke ghar jaiye bhi laiye bhi aap ke sar ki qasam aap ke sar ka tawiz bandh le bahr-e-khuda apne bhare bazu par nazar-e-bad se bachaega nazar ka tawiz ghar gae apne bata kar wo hamein rah-e-adam wasl ki shab ki nishani hai kamar ka tawiz hath bhi aaen to hai hath lagana mushkil sar-e-bazu hai bandha khas asar ka tawiz dar se un ke bhare bazu kai kaghaz utre hath thama tha shab-e-wasl ki sarka tawiz dil hai ab mang ke aaghosh mein din-raat 'riyaz' ye to sar chadh ke bana yar ke sar ka tawiz