le gaya wo sath apne husn sara sham ka

le gaya wo sath apne husn sara sham ka
hijr ki taswir hai ab har nazara sham ka

khema-zan hain chand ke raste mein gahri badliyan
aandhiyon ki zad mein hai pahla sitara sham ka

raushni aur tirgi ki sarhaden thame hue
darmiyan din raat ke bahta hai dhaara sham ka

laut kar wo sham se pahle hi ghar aane laga
un se shayad chhin gaya koi sahaara sham ka

dubte suraj ka manzar dekhna 'jawed' roz
mashghala hai ek muddat se hamara sham ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close