le ke hathon mein mohabbat ke guhar aae hain ek nazar dekh tere khak-basar aae hain ek ajab dhadka dil-o-jaan ko laga rahta hai jab bhi pardes se hum laut ke ghar aae hain jis taraf bhi main gaya main ne jidhar bhi dekha zakhm ki tarah mujhe log nazar aae hain nok-e-neza ki taraf ek nazar dekh zara kis bulandi pe wo ushshaq ke sar aae hain mom ho jae wo patthar ki tarah sakht badan apne nalon mein kahan itne asar aae hain sar-phiri aandhi girane use aa pahunchi hai aas ke ped pe jis dam se samar aae hain jab se utra hai safina mera sahil pe 'nabil' mauj-dar-mauj kinare pe bhanwar aae hain