le ude gesu pareshani meri aaine le bhage hairani meri kah utha joban ki bas bas ho chuki nichi nazron se nigahbani meri baam par kah aae ja kar aah-e-garm badh ke bijli se hai jaulani meri gesuon se un ke achchhi gham ki raat main fida us par wo diwani meri pyare pyare munh se phir kah de zara ho mubarak tujh ko mehmani meri sath mere dil bhi mitti ho chuka tere sadqe khak kyun chhani meri itni muddat mein bichhad kar dil mila der tak surat na pahchani meri thak gae wo ruk gaya khanjar 'riyaz' ab badi mushkil hai aasani meri