lete lete karwaten tujh bin jo ghabraata hun main nam le le kar tera raaton ko chillata hun main ghair jab kahta hai us par main bhi marta hun tab aah wo to kya marta hai bas ghairat se mar jata hun main aa nikalta hai kabhi par baat wo karta nahin bolta hai to ye kahta hai ki ab jata hun main tu wo hai aatish ka parkala ki tere samne aaftab aa kar kahe jade se tharraata hun main na-tawani ne nikal jaane ka dar to kho diya yar ko ab apne mar jaane se dhamkata hun main gar chalen rah-e-talab mein tod dalun apne panw bas kabhi saqi ke aage hath phailata hun main abr ko dekha jo saqi ne nigah-e-mast se rad bola ab mai-e-gul-rang barsata hun main daudte hain panw jab daman-e-sahra ki taraf hath bhi su-e-gareban sath daudata hun main