libas-e-KHak sahi par kahin zarur hun main

libas-e-khak sahi par kahin zarur hun main
bata rahi hai chamak aankh ki ki nur hun main

koi nahin jo meri lau se rasta dekhe
hawa-e-tund bujha de tere huzur hun main

panah deta nahin koi aur sayyara
bhatak raha hun khala mein zamin se dur hun main

na ho gira ke mujhe tu bhi khak mein mil jae
mujhe gale se laga le tera ghurur hun main

nikal pada hun yunhi itni barf-bari mein
badan ke garm lahu ka ajab surur hun main

saza bhi kat chuka hun main jis khata ki 'nasim'
kise pukarun kahun is mein be-qusur hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close