lijiye ab raaz-e-dil ifsha hua har taraf baaten huin charcha hua mujh pe bhi tari thi jaise be-khudi wo bhi tha jaise kahin khoya hua tere bin jina kise manzur tha zindagi se ek samjhauta hua khana-e-dil mein charagh-e-arzu hai kabhi jalta kabhi bujhta hua us ki rangat par khule har ek libas rup us ka hai ajab nikhra hua ek jawani kaif mein dubi hui ek badan mahka hua tarsha hua ab talak taza hai yaadon ki mahak aap se bichhde hue arsa hua dil jigar aql-o-khirad hosh-o-hawas ek lashkar tha ki jo paspa hua dil ke kabe mein mere ab bhi 'zamir' ek but muddat se hai rakkha hua