likha hai mujhko bhi likhna paDa hai

likha hai mujh ko bhi likhna pada hai
jahan se hashiya chhoda gaya hai

agar manus hai tum se parinda
to phir udne ko par kyun tolta hai

kahin kuchh hai kahin kuchh hai kahin kuchh
mera saman sab bikhra hua hai

main ja baithun kisi bargad ke niche
sukun ka bas yahi ek rasta hai

qayamat dekhiye meri nazar se
sawa neze pe suraj aa gaya hai

shajar jaane kahan ja kar lagega
jise dariya baha kar le gaya hai

abhi to ghar nahin chhoda hai main ne
ye kis ka nam takhti par likha hai

bahut roka hai is ko pattharon ne
magar pani ko rasta mil gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close