likha jo wasf-e-dahan ghaib se nida aai adam ka qasd kiya tere dil mein kya aai jo nakhl-band-e-azal ka hua chaman mein khayal nazar gulon mein ajab shan-e-kibriya aai ghariq-e-bahr-e-mohabbat ki li khabar na kabhi khuda se sharm na kuchh tujh ko nakhuda aai