likhe hue alfaz mein tasir nahin hai dil par jo kisi ishq ki tahrir nahin hai is zist ke har mod pe ladni hai mujhe jang qirtas o qalam hain koi shamshir nahin hai mumkin hi nahin tha tujhe aawaz lagate hai ishq ki rudad pa tashhir nahin hai duniya mein wafa dhundne nikle the nadarat ek bojh hai dil par mere shahtir nahin hai lamhe mein palat denge zamane ko tumhaare hai ahd-e-hunar jaan ye taskhir nahin hai paiwast hain is ghar se bahut aap ki yaaden guzre hue lamhat hain zanjir nahin hai chup-chap bahut der se phirte hain gurezan duniya mein koi aap sa dil-gir nahin hai