lo dil-e-be-zaban tut gaya kanch ka tha makan tut gaya dil ye shayad khilaune jaisa tha khel ke darmiyan tut gaya chhod kar man ko kya mile jannat pahla hi paedan tut gaya aise mare gae jawan fauji jaise hindostan tut gaya godiyan man ki ho gain suni mamta ka jahan tut gaya dekh pulwama qalb-e-muztar par yun laga aasman tut gaya chaar su khalfashaar barpa hai koh-e-amn-o-aman tut gaya bhai ka bhai ho gaya dushman kya ye bhaarat mahan tut gaya wo jo qismat ka ek sitara tha kah ke shab ki azan tut gaya dekh 'haidar' siyasati sazish des ka naujawan tut gaya