log bhi kiya hain kisi ka dil dukha kar KHush hue

log bhi kiya hain kisi ka dil dukha kar khush hue
phul par baithi hui titli uda kar khush hue

pyas hum apni bujha len ye ijazat hai kahan
phir bhi ai dariya tere nazdik aakar khush hue

marz ko pale hue rakhna samajhdari nahin
log phir bhi khamiyan apni chhupa kar khush hue

shakl-o-surat dekhne laeq thi tab sayyaad ki
qaid panchhi jab paron ko phadphada kar khush hue

aakhirash karte bhi kiya jab class mein teacher na tha
sare bachcha bachchiyan udham macha kar khush hue

bojh dil ka ek hi jhatke mein halqa ho gaya
hum tumhaari yaad mein khud ko rula kar khush hue

ai 'akela' aur kya hona tha bas itna hua
sar-phire jhonke charaghon ko bujha kar khush hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close