log hain muntazir-e-nur-e-sahar muddat se main bhi baitha hun sar-e-rahguzar muddat se muddaton dar-o-rasan zist ka unwan rahe morid-e-sang hain is shahr mein sar muddat se jis ki manzil ka nishan tak bhi nahin nazron mein kab se us rah mein hain mahw-e-safar muddat se wo koi dasht-o-bayaban ho ki aabaadi ho ban chuke hain sabhi shoalon ke nagar muddat se reg-zaron mein hai logon ko thikanon ki talash muntazir apne makinon ke hain ghar muddat se pa-ba-zanjir hain imkan-e-rihai to kuja zang-alud hain zindanon ke dar muddat se