log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein talkhiyan khud hi mila lete hain mithe zahr mein pyar ke chashmon ka pani jab se khaara ho gaya sari duniya ghir gai hai nafraton ke qahr mein waqt kahta hai ubharte dubte chehron ko dekh aaj to raunaq badi hai hadson ki nahr mein jaane ye hiddat chaman ko ras aae ya nahin aag jaisi kaifiyat hai khushbuon ki lahr mein hum ne palkon par saja rakhe hain ashkon ke charagh ek mela sa laga hai raushni ke shahr mein chand aawazen taaqub mein hain 'afzal' aaj bhi qurbaton ka shahd hai tanhaiyon ke zahr mein