log is Dhab se qaside mein utar bandhte hain

log is dhab se qaside mein utar bandhte hain
sahab-e-sadr ke aibon ko hunar bandhte hain

hum tere shahr ka jab azm-e-safar bandhte hain
aadatan kandhon pe apne kai sar bandhte hain

sukhi shakhon pe nae barg-o-samar bandhte hain
qafiya jab bhi naya ahl-e-hunar bandhte hain

in munderon ke charaghon ki ajab qismat hai
jis mein ahbab hawaon ka guzar bandhte hain

main ise le ke khada hun to nahin koi harif
kis ke hone ka fusun shoabda-gar bandhte hain

wo jo waqif nahin tahzib-e-zaban-dani se
apni dastar mein ab wo bhi guhar bandhte hain

ek ghazal aisi ki kaghaz ko bhigo deti hai
is mein hum qafiya-e-dida-e-tar bandhte hain

in se hushiyar nai tarz ke jadugar hain
kis safai se ye logon ki nazar bandhte hain

hum hain mazur-e-nazar, pul teri tarifon ke
aaina-khane ke arbab magar bandhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close