log jo gardish-e-ayyam se dar jate hain maut se pahle hi samjho ki wo mar jate hain ye jo kuchh log ki tufan se daraate hain hamein sarsarahat se ye patton ki bhi dar jate hain jis ko dekho wo harasan hai yahan apnon se shukr hai sham ko sab apne hi ghar jate hain ab ke karna hai hamein tark-e-talluq mein pahal hum ye kahte hain faqat aap to kar jate hain ek tera gham tha jise hum ne sanbhaala har dam warna tufan se tinke to bikhar jate hain un ka dawa hai ki suraj ko karenge taskhir jo yahan sham ke jugnun se bhi dar jate hain