log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye

log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye
aur hum chup-chap mazi ke nishan dekha kiye

aql to karti rahi daman-e-hasti chaak chaak
hum magar dast-e-junun mein dhajjiyan dekha kiye

khanjaron ki thi numaish har gali har mod par
aur hum kamre mein taswir-e-butan dekha kiye

hum tan-asani ke khugar dhundte manzil kahan
dur hi se gard-e-rah-e-karwan dekha kiye

hum ko is ki kya khabar gulshan ka gulshan jal gaya
hum to apna sirf apna aashiyan dekha kiye

mausam-e-parwaz ne 'najmi' pukara tha magar
par samete hum qafas ki tiliyan dekha kiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close