logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae hum ne apna antar khoja diwane kahlae kaise sapne kis ki aasha kab se hain mehman bane tanhai ke sune aangan mein yaadon ke sae aankhon mein jo aaj kisi ke badli ban ke jhum uthi hai kya achchha ho aisi barse sab jal-thal ho jae dhul bane ye baat alag hai warna ek din hote the chanda ke hum sanghi-sathi taron ke ham-sae aane wale ek pal ko main kaise batla paunga aasha kab se dur khadi hai bahon ko phailae chand aur suraj donon aashiq dharti kis ka man rakhe ek chandi ke gahne phenke ek sona bikhrae kahne ki to baat nahin hai lekin kahni padti hai dil ki nagri mein mat jaana jo jae pachhtae 'majid' hum ne is jug se bas do hi chizen mangi hain usha sa ek sundar chehra do nainan sharmae