logon se dur saikdon logon ke sath hun main mauj ki tarah kai maujon ke sath hun tanha bhi hun sadak pe kisi poll ki tarah aur munsalik bhi dusre polon ke sath hun tum ko to chhanw koi ghani chhanw chahiye main aaj bhi jale hue pedon ke sath hun bas ek qadam utha to wahin tut jaunga misl-e-habab panw ke chhaalon ke sath hun zindon ke darmiyan bhi lagta hai yun mujhe main jaise sard-khane ki lashon ke sath hun yun khushbuen bahaar ki bachchon ne din mujhe go khar hun pa lagta hai phulon ke sath hun un aansuon ke sath nahin hun jo bah gae jo dil mein ruk gae hain un ashkon ke sath hun