lut gaya dil kahan nahin malum kya hua hai ziyan nahin malum ab qafas mein hi rahne de sayyaad tha kahan aashiyan nahin malum tu hi aa kar sikha de o bulbul mujh ko tarz-e-fughan nahin malum aap hi se faqat hai dilchaspi aur dilchaspiyan nahin malum wae taqdir kya qayamat hai jae dard-e-nihan nahin malum yaad hone lagi kahan apni aain kyun hichkiyan nahin malum mujh ko teri kahani aati hai aur koi dastan nahin malum main azal se fidai hun jis ka us ka nam-o-nishan nahin malum pairaw-e-'mir' hun main ai 'nadir' ghair ko ye zaban nahin malum