lut le sarmaya-e-dil lut le ai fareb-e-chashm-e-qatil lut le mujh se faiyyaz-e-mohabbat hai koi kah raha hun khud mera dil lut le ye tamanna hai ki koi rahzan karwan-e-manzil-e-dil lut le lutf jab hai teri duzdida nazar aankh milte hi mera dil lut le surat-e-parwana hun main bazm mein mujh ko tu ai sham-e-mahfil lut le husn ki aazadiyon ka zikr kya husn agar chahe to mahfil lut le 'auj' ki bhi kaenat-e-jaan-o-dil o but-e-zohra-shamail lut le