luT rahi hai daulat-e-didar qiasar-bagh mein

lut rahi hai daulat-e-didar qiasar-bagh mein
misl-e-gul sab ho gae zardar qaisar-bagh mein

dekhte hain yar ka padhta hai kalima kaun kaun
jama hain sab kafir-o-dinda qiasar-bagh mein

hum se aankh us ne ladai tewri badli ghair ne
chalte chalte rah gai talwar qiasar-bagh mein

us kaman-e-abru ne kin dil par nazar-andaziyan
hum pe tiron ki hui bauchhaar qiasar-bagh mein

gate hain murghan-e-gulshan peng deti hai sada
jabki jhula jhulta hai yar qiasar-bagh mein

be-khudi chhai hui hai ye sharab-e-aish ki
mast do bahar pade hain chaar qiasar-bagh mein

yan hawa mein hai dam-e-isa ka aalam kya ajab
pae sehat nargis-e-bimar qiasar-bagh mein

main to kya hote hain gul bhi kushta-e-tegh-e-khiram
banki tirchhi chalte ho raftar qaisar-bagh mein

jalwa-afgan nur ke hain phul phal tuba ki tarf
khuld se mangwae hain ashjar qiasar-bagh mein

ab to ai rashk-e-chaman surat dikhana chahiye
nala-kash hai andalib-e-zar qiasar-bagh mein

wo na the pahlu mein to us ne bhi ki pahlu-tahi
mujh se dil mein dil se tha bezar qiasar-bagh mein

daur-e-ishrat hai ye zoron par hain mai-kash kya ajab
mohtasib ki chhin len dastar qiasar-bagh mein

aamad aamad hai salami ko hamare shah ki
hain jawanan-e-chaman tayyar qiasar-bagh mein

mohtasib ke hath se tang is qadar hain ai 'qalaq'
aae hain nalish ko sab mai-khwar qiasar-bagh mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close