lutf aaya hai jaan-fishani mein hijr kata hai zindagani mein sar jhukae adab se aati hai maut mausam ki rajdhani hai kaise khush main dikhai deta na zikr mera bhi tha kahani mein ek beta mila tha minnat se mar gaya tha wahi jawani mein rang badla hua hai aaj us ka zahr lagta hai yar pani mein tai karunga sabhi manazil ko aaj rangin shab suhani mein phans chuka hai guzishta din se 'sahar' ek aafat-e-na-gahani mein