lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta dil se kuchh dur hai zalim ki ana ka rishta dast-e-isa bhi wahi bazu-e-qatil bhi wahi kitna nazuk hai charaghon se hawa ka rishta jabr-e-haalat kaho gham ki mukafat kaho tut bhi jata hai honton se nawa ka rishta sochiye to sabhi apne hain koi ghair nahin hakim-e-shahr se hai jurm-o-saza ka rishta manzar-e-zist mein kuchh rang to bhar deta hai khar-zaron se kisi aabla-pa ka rishta phul nayab sahi zakhm to nayab nahin aaj bhi dil se wahi aab-o-hawa ka rishta kya karen rasm-e-zamana ki shikayat 'taban' dard se rakhte hain hum log sada ka rishta