lutf mein wan Dhang hai bedad ka

lutf mein wan dhang hai bedad ka
kaam de ai khamushi fariyaad ka

kyun ki le taswir us ki dekhiye
hath qabu mein nahin bahzad ka

umr-bhar rakhta hai paband-e-kamin
said khud ek dam hai sayyaad ka

dawa-e-baatil ki pursish rah gai
kaun pursan hasrat-e-shaddad ka

dur tak apni nigahen hain rasa
parda hail gar na ho ijad ka

kaun yan qaid-e-talluq mein nahin
pa-ba-gul hai sarw se aazad ka

dil mein jab aae ki us ne sun liya
na-rasa kyun nam hai fariyaad ka

aap hi gardish se hai majbur-e-charkh
chahna aise se kya imdad ka

dekhiye kasrat se wahdat ko to hai
ek jalwa mujid-o-ijad ka

kohkan ne umr-bhar kata pahad
main hun juya charkh ki buniyaad ka

bach gaya tir-e-nigah-e-yar se
waqai aaina hai faulad ka

bhula hai din-o-duniya aadmi
khassa hai ye buton ki yaad ka

pahle nafgh-e-sur se aa jaun yan
shak na ho tum ko meri fariyaad ka

zarbat-e-tesha thi patthar ki lakir
nam mitta hi nahin farhad ka

khud uda jata hun 'salik' zoaf se
aah mein tufan hai qaum-e-ad ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close