lutf-saman itab-e-yar bhi hai

lutf-saman itab-e-yar bhi hai
mahram-e-ishq sharmsar bhi hai

sust-paiman o be-niyaz sahi
husn taswir-e-intizar bhi hai

kya kare wo nigah-e-lutf ki ishq
shadman bhi hai sogwar bhi hai

gulshan-e-ishq hun khizan meri
wajh-e-rangini-e-bahaar bhi hai

uqda-e-ishq ko na tu samjha
yahi uqda kushud-e-kar bhi hai

apni taqdir apne hath mein le
shamil-e-jabr ikhtiyar bhi hai

aap apna chadhaw apna utar
zindagi nashsha hai khumar bhi hai

un nigahon mein hai shikayat si
ishq shayad jafa-shiar bhi hai

dil se hai dur bhi nigah teri
dil ke andar hai dil ke par bhi hai

sar-ba-sar gharq-e-nur ho lekin
zindagi iktisab-e-nar bhi hai

kaun targhib-e-hosh de ki junun
be-khabar bhi hai hoshiyar bhi hai

khalwat-e-husn-o-ishq bhi hai udas
sard kuchh bazm-e-rozgar bhi hai

raaz us aankh ka nahin khulta
dil shakeba bhi be-qarar bhi hai

khud tujhe bhi hui na jin ki khabar
un jafaon ka kuchh shumar bhi hai

is mein lakhon nizam-e-shamsi hain
yun to dil tira-rozgar bhi hai

is ki zau us ki garmiyan mat puchh
zindagi nur bhi hai nar bhi hai

ishq-e-hijran-nasib ka bhi hai dhyan
tere wade ka e'tibar bhi hai

ishq hi se hain manzilen aabaad
karwan karwan pukar bhi hai

koi samjha use na dekh saka
nigah-e-shokh sharmsar bhi hai

us se chhut kar ye sochta hun 'firaq'
is mein kuchh apna ikhtiyar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close