maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi padta hai koi rasta ho us ki rahguzar kahna hi padta hai wo sannata khirad kahti hai jis ko ghar ki virani use bhi raunaq-e-diwar-o-dar kahna hi padta hai sulag jata hai sina jis ki thandi sarsarahat se us aatish ko bhi yan baad-e-sahar kahna hi padta hai sharik-e-rahguzar koi nahin hota magar phir bhi yahan har rah-rau ko ham-safar kahna hi padta hai musallam gul-kadon ki lala-samani magar hamdam sharar-o-barq ko bhi mo'atabar kahna hi padta hai ba-har-surat guzar jati hai jo dil par guzarti hai magar phir apne ghar ko apna ghar kahna hi padta hai kuchh aise bhi fasane mahfilon mein chhede jate hain ki jin ko ehtiyatan mukhtasar kahna hi padta hai khamoshi ek majburi takallum ek mahrumi kisi se kah nahin sakte magar kahna hi padta hai