maal-e-zindagani imbisat-e-anjuman bhi hai magar is rahguzar mein manzil-e-dar-o-rasan bhi hai faqat gul hi nahin kante bhi hain sarmaya-e-gulshan inhin ke rabt se tabir tazin-e-chaman bhi hai zaruri amr tamir-e-nasheman hai chaman walo magar muhtaj-e-araish gulistan-e-watan bhi hai zamana mo'tarif ab tak hai mere karnamon ka meri miras mein talwar bhi hai aur kafan bhi hai payam-e-asr deta hun main aahang-e-khumistan mein sharab-e-nau bhi hai saghar mein sahba-e-kuhan bhi hai khirad-mando haqiqat khul to jati hosh-mandi ki magar hail kisi had tak mera diwana-pan bhi hai wo aalam jo kaha jata hai duniya-e-rawadari wahan mujrim janab-e-shaikh bhi hain barhaman bhi hai usi mai-khwar ki azmat hai saqi ki nigahon mein jise 'zamzam' gawara talkhi-e-kaam-o-dahan bhi hai