machhli kud gai pani mein main hun nahaq hairani mein rah mein kante bichhwane hain mujh ko hai mushkil aasani mein ek siyani yani duniya aur ek diwana yani main ek tamanna shishe ki thi tut gai khincha-tani mein khwabon ka sauda kar dala nind ne aakhir nadani mein aa dhamke hain guzre lamhe shor bapa hai virani mein ishq kaha tha na mat kije rahiye roz pareshani mein qaum ke khidmat-garon ke din bit rahe hain sultani mein