madad to itni kar ai shiddat-e-dard-e-nihan meri nikal jae tadap kar jism se ruh-e-rawan meri diya hai main ne dil un ko wo dhate hain sitam mujh par bas itna un ka qissa hai bas itni dastan meri bahut dhundha na paya koi zina kaamyabi ka phir aakhir kaam mere aa gai nakaamiyan meri