madar-e-zat ke girdab se nikal aaun

madar-e-zat ke girdab se nikal aaun
main apni zat ke asbab se nikal aaun

bas ek bar to pani pe apna aks dikha
qasam khuda ki main sailab se nikal aaun

jo mahw-e-raqs na hun meri ruh ke hamrah
main aise halqa-e-ahbab se nikal aaun

main apni jagti aankhon se zindagi dekhun
meri tamanna hai main khwab se nikal aaun

tera to lahja bahut dil-shikan hai ai jaanan
teri kahani ke har bab se nikal aaun

jo tere lams ki hiddat ko jit lun to main
phir apni zat ke barfab se nikal aaun

gundha hua hai meri zat ke khamir mein ye
main kaise aalam-e-asbab se nikal aaun

ye raushni meri tahzib ka hi hasil hai
main kaise halqa-e-adab se nikal aaun

jo mera pyar hai 'rumi' agar kabhi mil jae
main apni zat ke har khwab se nikal aaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close